Sawal or jawab mast read….

814
0
Share:

Aaj Kal Kuch Dino Se Ye Fitna Faila Hai Jahan Par Bohat Se Bad-Mazhab Log Nadan Logon Ko Qur’an Aur Hadis Ke Hawale Mang Kar Gumrah Kar Rahe Hai. Ye Niche Kuch Sawalat Aur Unke Jawabat Hai Jo Ye Log Aksar Puchte Hai :

{1}. Sawal : Kis Sahabi Ke Urs Par Sab Se Ziyada Log Jama Hote Hai ?

Answer : Hazrat Tamim Ansari (Radi’Allah Anhu) Ke Urs Sharif Jinki Mazaar Kolam Sharif Samundar Ke Kinaray (Madras) Chennai Main Hai Aur Ussi Tarah,
Hazrat Bilal Habsi (Radi’Allah Anhu) Jinki Mazaar Damascus, Mulke Sham Main Hai,
Hazrat Salman Farsi (Radi’Allahu Anhu) Iraq, Hazrat Ali (Karam’Allahu Wajhul Karim) Najaf, Iraq,
Hazrat Imaam Hussain (Radi’Allahu Anhu) Karbala, Iraq, Inn Sahabi Ke Urs Par Sab Se Ziyada Log Jama Hotay Hai.

{2}. Sawal : Nabi e Pak ﷺ Ke Daur Ke Mashoor Qawwal Ka Naam Batao ?

Answer : Qawwal Ke Mana Buzrugon Ke Qaul Gane Wale Haqqani Chezian Gane Wale.
Dekhye Urdu Ki Mashoor Lugat Ki Kitab (Firazul Lugat; Page-949) Writer Molvi Firozuddin Deobandi.
Nabi e Pak ﷺ Ki Bargah Ke Mashoor Naat Khwaan Aur Shayar Hazrat Has’san Bin Shabit, Hazrat Abdullah Ibn Rawah, Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radi’Allahu Ta’ala Alaihim Ajmain) Hai.

Hazrat Qaab Ibn Zuhair (Radi’Allahu Anhu) Ne Sab Se Pehla Burda Sharif Likha “Banat Suad” Iss Ka Naam Hai . English Main Isse “The Poem Of The Scarf” Bhi Kehte Hai Jise Aap Ne Aaqah ﷺ Ko Sunaya Iss Par Nabi e Pak ﷺ Bohat Kush Huye Aur Huzoor ﷺ Ne Inko Apni Kamli (Scarf) Baray e Tohfa Ke Taur Par Diya, Ye Kamli Mubarak Sahaba E Karam (Radi’Allahu Alaihi Ajmain) Jab Jang Me Jate To Apne Sath Lejate Aur Allah ﷻ Inn Sahabiyo Ko Fatah Dila Deta, Aaj Bhi Ye Kamli (Scarf) Turkey Mae Topkapi Palace, Istanbul, Me Rakhi Hai.
Iss Tarah Nabi e Pak ﷺ Ki Shaan Mai Ye Sahaba (Radi’Allah Alaihin Ajmain) Aksar Kalaam Padte Aur Nabi e Pak ﷺ Khud Inn Ke Liye Ethmam Farmatay Balki Inaam Bhi Ata Farmate.
Ref : {Mishkat Sharif; Page-410},
{Bukhari Sharif; Volume-1, Page-100},
{Bukhari Sharif; Volume-2, Page-773},
{Shara Muslim; Volume-1, Page-49}.

{3}. Sawal : Sahaba Karam Ne Sab Se Pehle Jis Mazaar Par Chadar Chadaye Wo Kaunsi Rang Ki Thi ?

Answer : Sahaba Karam Ne Sab Se Pehle Jis Mazaar Par Chadar Chadaye Wo Nabi e Pak ﷺ Ke Mazaar e Pur Anwar Hai Jis Par Surkh (Red) Rang Ki Chadar Chadai Gayi.
Ref : {Muslim Saharf; Volume-1, Kitab-Ul-Janaiz; Hadis-2136}.

{4}. Sawal : Sab Se Pehle Jis Sahabi Ne Eid Milad Un Nabi ﷺ Manaya Unka Naam Kya Hai ?
Issi Sawal Ko Kaye Logon Ne Iss Tarah Bhi Puchte Hai Ki, Kis Sahabi Ne Nabi e Pak ﷺ Ka Urs Manaya To Inn Dono Sawal Ka Jawab Ek Hi Hai Kyun Ki Milad 12 Rabi Ul Awwal Ko Manaya Jati Hai, Jo Ki Nabi e Pak ﷺ Ki Paidaish Aur Parde Ki Tariq Hai, Iss Din Hi, Sahaba Karam (Radi’Allahu Alaihim Ajmain) Khas Mehfil E Milad Rakhte Madina Sharif Me.

Answer : Nabi e Pak ﷺ Ka Milad Sab Se Pehle Khud Allah ﷻ Ne Manaya Wo Bhi Ambiya Ki Jamat Me Aalam-E-Arwah Main Jahan Allah ﷻ Ne Tamam Ambiya (Alaihis’Salam) Se Gawahi Li Aur Apne Mehboob Mohammed Mustafa ﷺ Par Iman Lane Ki Baat Kahi.
Ref : {Quran Sharif; Para-3},
{Surah Ale Imran; Aayat-81 And 64},
{Surat Tauba; Aayat-128}.

Iske Baad Nabi e Pak ﷺ Ne Khud Apna Milad Bayaan Farmaya.
Ref : {Mishkat Sharif; Page-513},
{Muslim Sharif; Volume-1, Page-138 & 282},
{Tirmadi Sharif; Volume-2, Page-203}.

Aur Sahaba e Kiram Main Koi Aise Sahabi Nahi Hai Jinhau ne Ne Milad Nabi e Pak ﷺ Na Manaya Ho, Sahaba Karam Ka To Khas Kaam Raha Hai Ki Aap Jaha Bhi Jate Milad Padte Apne Nabi ﷺ Ki Tarif Aur Tausif Bayaan Karte, Yahi To Milad Hai Pura Qur’an Sharif Hai Kya Siwaye Milad E Mustafa ﷺ Aur Deegar Ambiya Karam Ki Tarif Hi To Hai Yahi Milad Hai.
Sahaba Karam (Radi’Allahu Alaihim Ajmain) Me Se Khas Taur Par Nabi e Pak ﷺ Ka Milad Padhne Wale Hazrat Amir Ansari (Radi’Allahu Anhu) Hai.
Ref : {Islak Moaazam; Page-79},
Aur Hazrat Jaffar Tayyar (Radi’Allahu Anhu) Hai, Jin Hone Najashi Badshah Jo Ki Abyssinia (Ethiopia) Ka Raja Tha Aur Christan Tha Uss Ke Darbar Main Nabi e Pak ﷺ Ki Milad Padhi Aur Bataya Ki Hamare Nabi e Pak ﷺ Kya Hai Aur Unka Martaba Kya Hai Aur Unke Farman Kya Hai.
Ref : {Bukhari Sharif, Muslim Sharif, Ibn Maja, Baab-E-Hadees “Al Hijrat”}.

Hazrat Abu Bakar Siddiq (RadiAllahu Anhu) Ne Nabi e Pak ﷺ Ne Bohat Sa Khana Banwaya Aur Fatiha Padha Uss Khane Par Aur Pure Madina Sharif Me Taksim Kiya Jab Logon Ne Pucha Ki Aaj Kya Hai To Digar Jan ne Wale Logon Ne Farmaya Ki Aaj Nabi e Pak ﷺ Ka Urs Hai.
(Fathul Ma’ani).

{5}. Sawal : Jo Sahaba Karam Ya Rasool’Allah Al Madad,
Ya Ali Al Madad Ka Nara Lagate Unke Naam Bataye ?

Answer : Ya Mohammed Ya Rasool’Allah ﷺ Ka Nara Lagana Pukarana Sahaba Karam (Radi’Allahu Alaihim Ajmain) Ki Sunnat Hai.
Ref : {Muslim Sharif; Vol-2, Bab-E-Hadis “Al Hijrat”},
{Ibn Majaa; Volume-1, Page-419},
{Tirmadhi Sharif; Volume-2, Page-197},
{Bukhari Sharif; Page-193}.

Hazrat Qaab-Ibn-Hamza Sahabi (Radi’Allahu Anhu) Ne Yahi Nara Lagaya.
(Fatwa As Sham; Page-298)

Aur Mashoor Sahabi Hazrat Abdullah Ibn Umar (Radi’Allahu Anhu) Ke Jab Pair Sun Hogaya To Aap Ne Ya Mohammed Keh Kar Pukara.
{Shifa Sharif; Vol-2, Page-20}, {Bukhari Sharif; Adab Al-Mufrad; Page No. 404, Hadith No. 964}

Ya Ali Al Madad Kehna Bhi Jayaz Hai.
(Tirmidhi Sharif; Abwabul Anaqib 3713)
Huzoor Nabi e Pak ﷺ Ne Khud Farmaya Main Jiska Madadgar Hu Ali Uska Madad Gaar Hai.

{6}. Sawal : Sahaba Karam (Radi’Allahu Alaihim Ajmain) 12 Rabiul Awaal Sharfi Ko Kis Rang Ka Jhanda Lehrate The ?

Answer : Sahaba Karam Ne Amad -E- Nabi Pak ﷺ Par Mukhtalif Kism Ke Jhande Lehra Kar Apni Kushi Ka Izhar Kiya Hai.
Ref : {Madarajatul Nabuwat; Vol-2, Page-62},
Balki Mashoor Sahabi Hazrat Barida Aslami (Radi’Allahu Anhu) Ne To Apne Amama Sharif Ko Jhanda Banakar Apne Nezay Par Lehraya Tha.
{Madrajajatul Nabuwat; Vol-2, Page-62}.

Note : Aap Ke Mutalbay Par Qur’an Aur Hadis Sharif Ki Roshni Main Aap Ke Sawalat Ke Jawab Dekar Humne To Sahi Aqida Musalaman Hone Ka Sabut Pesh Kardiya, Magar Inhi Batao Ke Shirk Aur Biddat Bata Kar Bhole Bhale Musalamano Ko Gumrah Karne Wale Kya Sahi Aqida Musalamn Ho Sakte Hain ?
Kya Qur’an Aur Hadis Ke Farman Ko Shirk Aur Biddat Kehne Wale Kya Musalman Ho Sakta Hai ?

Kya Har Wo Cheez Jo Nabi e Pak ﷺ Ke Zamane Me Na Thi Ya Isko Kisi Sahabi Ne Na Kiya Ho To Kya Wo Har Chiz Shirk Aur Biddat Hai Insaf Kijiye.

(1) Kya Qaida Baghdadi Jo Hum Bachpan Me Padte Hai, Se Lekar Bukhari Sharif Tak, Dars-E-Nizami Ki Tamam Kitabe Alawa Qur’an Sharif Ke Na Nabi e Pak ﷺ Ke Zamane Me Thi, Na Sahaba Karam Wa Tabaey Ne Isko Padha Aur Na Padhaya.

(2) Baad Namaz e Fajar Bila Naga Qur’an Sharif Ki Tilawat Karna Na Nabi e Pak ﷺ Se Sabit Hai Na Kisi Sahabi Se Na Kisi Tabaen Se.

3) Baad Namaz E Isha 1000 Martaba Pabandi Se Darood Sharif Padhna Na Nabi e Pak ﷺ Se Sabit Hai Na Kisi Sahabi Na Kisi Tabaen Se.

4) Masjidon Ko Pokhta Banana, Minar Banana, Ghumbad Aur Mehrab Lagana, Masjido Me Shandar Kalin Bichana, A/C Lagana, Paint Lagwana, Har Waqt Ki Namaz Ka Ghadi Ke Time Se Waqt Fix Karna, Madarso Ke Liye Zamin Wakaf Karna, Mustakil Madarsay Banwana, Madarson Me Talba Ke Rehne Ya Khane Ka Intezam Karwana, Madarson Me Chanda Dena, Aalim, Fazil, Mufti Waghyra Ki Dastar Bandi Karwana, Madaris Ka Salana Jalsa Karwana, Deen-E-Kitabay Chapwana Aur Takseem Karna, Quran Majeed Par Zeer, Zabar, Pesh Lagana, Azan Wa Namaz Me Mike, Loud Speaker Waghyra Ka Istemal Karna, Iss Me Se Koi Bhi Cheez Na Nabi e Pak ﷺ , Wa Sahaba Ya Tabaen Ke Zamane Me Na Thi, Magar Aaj Inn Chezo Ke Bagair Hum Apni Mazhabi Umoor(Kaamo) Ko Ada Nahi Kar Sakte. Aaj Ye Sari Chezain Hamrai Mazhabi Shinaqt Hai, Inke Bagair Hum Apni Mazhabi Zindagi Sahi Tarike Par Nahi Guzar Sakte. Insaf Se Bataye Kya Ye Sari Chezain Bhi Shirk Wa Biddat Hai, Agar Nahi Aur Wakye Nahi To Issi Tarah Koi Nek Kaam Nabi e Pak ﷺ Ke Zamane Ke Baad Kiya Jaye To Wo Bhi Shirk Aur Biddat Nahi Hoga. Haan Iss Baat Ka Khayal Zaroori Hai Ki Wo Shariyat Ke Khilaf Na Ho. Nabi e Pak ﷺ Ne Khud Apne Baad Achay Kaam Karne Wale Ko Pasand Kiya Hai, Balki Aisa Kaam Karne Walon Ko Dugna Ajar Wa Sawab Ki Kush Khabri Bhi Sunaye Hai. Hazrat Jarir Ibn Abdullah Bajli (Radi’Allah Anhu) Se Riwayat Hai Ki Nabi e Pak ﷺ Ne Irshad Farmay Ki Jo Shakhs Islam Me Accha Tariqa Ijad Karega Isse Iska Sawab Mileyga Aur Jitne Log Iske Baad Iss Par Amal Karenge Wo Sab Ke Barabar Isse Sawab Mileyga.
Ref : {Hadis Musnad Ahmad Ibn Hambal; Vol-5, Page-547}, {Muslim Sharif; Kitab Uz Zakat, Page-327},
{Kitabul Ilm; Page-341},
{Nisaye Sahrif; Kitab Uz Zakat, Page-356},
{Mishkat Sharif; Page-33}

Tawajo Farmaye Milad, Qayam, Fatiha, Isale Sawab, Darood-O-Salam, Waghaira Mamulat Ahle Sunnat Wal Jamat, Agar Bazahir Daur-E-Sahaba Me Apko Nazar Nahi Atay To Kya Sirf Issi Buniyad Par Inn Chezo Ko Aur Inke Alawa Dusre Neek Kamo Ko Jiska Zikr Pehle Guzar Chuka Hai Biddat Aur Shirk Kehna Durust Hoga ?
Hargiz Nahi Balki Ye Bohat Badi Jhalat Aur Nadani Hai Aur Shariyat Ki Halal Aur Mubah Chezo Ko Bagair Kisi Dallel-E-Mana Ke Haram Aur Shirk Biddat Batana Shariyat Islamia Se Khuli Hui Bagawat Hai Aur Deen-E-Mustafa ﷺ Ke Khilaf Bohat Badi Jasarat Hai.

Note : Sawal Ye Hai Ki Agar Ye Batain Sahaba Karam Se Sabit Nahi To Kya Kisi Sahabi Ne Inn Batao Ko Na Karne Se Mana Kiya ?
Aur Jab Kisi Sahabi Ne Mana Nahi Kiya To Aap Kaun Hote Hai Mana Karne Wale, Aur Agar Apke Pass Koi Aayat Ya Hadis Sharif Ho Jahan In Chezon Ki Manaye Ki Gaye Hai, To Pesh Kijiye Warna Musalaman Apki Be’Buniyad Baton Ko Bina Dallel Kyun Mane.
Allah ﷻ Aap Logon Ko Sahi Aqal Aur Samajh Aata Farmayen.

Kuch Logon Ne Thode Aur Bhi Sawalt Kiya Hai, Jaise Kis Sahabi Ne Gyarwi Ki Niyaz Karwaye Aur Kis Sahabi Ne Azaan Se Pehle Salat Padhi ?

In Ke Jawabon Ke Hawale Se Upar Samjha Diya Gaya Hai Kafi Detail Me Ki Har Cheez Sahaba Ke Daur Se Sabit Nahi Hai To Ab Aise Sawalat Jinka Koi Maqsad Nahi Ho Sirf Logon Ki Gumrahi Ka Sabab Na Bane.

Ab Apko Apke Mazhab Ka Sahi Aqida Dikhne Ke Liye Apse Chand Sawalat Matloob Hai ?

[1]. Sawal : Nabi e Pak ﷺ Ke Ilm Ko Shaitan Lain Ke Ilm Se Kam Batane Wale Sahabi Ka Naam Bataye ?

Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Ke Pehswa Maulana Rashid Ahmed Gangohi Ne Apni Kitab (Barahainay Katiya; Page-55) Me Likha Hai, Aisa Kis Sahabi Ne Kaha Ye Sabit Kijiye ?
Maaz’Allah!

[2]. Sawal : Wo Kaunse Sahabi Hai Jinhoone Ne Kaha Ki Nabi e Pak ﷺ Maz’Allah! Mar Ke Mitti Main Milgaye ?

Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Ke Bade Aalim Ismail Dhelvi Apni Kitab (Taqviyatul Imam; Page-88) Me Likha Hai, Ye Kis Sahabi Ne Kaha Hai Maz’Allah! Ye Sabit Kijiye ?

[3]. Sawal : Auliya’Allah Ambiya Ko Allah Rabbul Izzat ﷻ Ki Bargah Me Chamar Se Ziyada Zalil Batane Wali Aayat Ya Hadis Se Pesh Kijye, Ya Kisi Sahabi Ka Qual Ho To Hawala Dijiye ?

Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Ke Bade Aalim Ismail Dhelvi Ne Apni Kitab (Taqviyatul Imam; Page-20) Me Likha Hai, Ye Kis Sahabi Ne Kaha Hai, Maz’Allah!
Ye Sabit Kijiye ?

[4]. Sawal : Namaz Me Nauzbillah Nabi e Pak ﷺ Ka Khayal Ko Janwaron Aur Pagalon Ke Khayal Se Badtar Batane Wale Sahabi Ka Naam Bataye ?

Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Ke Bade Aalim Ismail Dhelvi Ne Apni Kitab (Sirate Mustakim; Page-167) Me Likha Hai, Ye Kis Sahabi Ne Kaha Hai, Maz’Allah!
Ye Sabit Kijiye ?

[5]. Sawal : Nabi e Pak ﷺ Ki Qabar Pak (Mazaar Sharif) Ki Ziyarat Ko Kis Sahabi Ne Galat Bataya ?

Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Ke Bade Aalim Imam Ibn Taimiya Ne Apni Kitab (Fatawa Ibn Taimiya) Me Likha Hai, Ye Kis Sahabi Ne Kaha Hai, Maz’Allah!
Ye Sabit Kijiye ?

[6]. Sawal : Allah ﷻ Ke Mehboob Hazrat Mohammed Mustafa ﷺ Se Mohabbat Karne, Inki Arwah Ko Isale Sawab Karne, Inke Wasile Se Dua Karna Khade Hokar Salat-o-Salam Padhna Awliya Ki Qabron (Mazaaron) Ki Ziyarat Karna, Waha Qur’an Padhna Kis Aayat Se Ya Hadis Se, Shirk Sabit Hota Hai Ya Kisi Sahabi Ne Mana Kiya Ho, Ye Batayen ?

Agar Apke Pas Iska Jawab Qur’an Aur Hadis Sharif Ki Roshni Ya Sahaba Karam Ke Qaul Ke Mutabik Hai To Pesh Kijiye, Aur Agar Nahi Hai To Qabl Iskay Ki Maut Apse Tauba Ka Waqt Cheen Le Apne Batil Aqayed Se Tauba Kijiye Aur Nadan Musalmanon Ko Mushrik Bana ne Se Baaz Aye.

Ye sare jawabat Mufti Akhtar Raza Misbahi Ne Diya Hai. (Sadar Mufti Darool Uloom Makhdoomiya, Jogeshwari West, Mumbai)….

Share: